Friday, 8 March 2013

Happy Women's Day - Mukhtara hai meri Maa aur Malala meri Beti.

Happy Women's Day. This Poem is Dedicated to Ammi, my sister, Bilquis Edhi, Zahida Kazmi, Benazir Bhutto, Mussarrat Misbah, Bano Qudsia, Parveen Shakir, Haseena Moin, Bapsi Sidhwa, Naseem Haider, Abida Parveen, Malka Pukhraj, Madame Noor Jehan, Mukhtara Mai, Malala Yousufzai, my female friends and to all brave women fighting their battles for their identity at homes, schools and offices in this Patriarchal Society.

Khuda ki saari namaton ka tu kul jama hai
Teray pairon talay jannat, tu meri Maa hai
Hamshira bhi, dhuktar bhi, shareek-e-hayat bhi hai tu
Jo neem-shab meray liye dua ko uthain woh haath bhi hai tu

Teray inhi haathon main meray qaum ki taqdeer hai
Har daur main har Haal main tu Benazir hai

Sinf-e-Nazuk samajh ker jo mard tujhay batata hai kamzoor
Sharmata hai dekhay jab bazoo-e-Asma-Zahida-o-bilquis ka zor


Himmat jo karay tu, dunia teray peechay aur tu agay
Toh Ayesha hai, Naseem hai, toh hawaon say tez bhagay
Khud zulm sahay tunay baray, per tu ab bhi khari hai
Udaas chehron kay liye tu Mussarrat ki ghari hai


Teri Awaz nay runga admi ko ishq kay rung main
Teray geeton nay kiye hoslay buland maidan-e-jung main
Har sur say teray jhoom uth ta sara jahan hai
Tu Malka, Tu Abida tu Noor Jehan hai

Har harf tera taleem-o-tarbiat-o-tehzeeb ka hai paikar
Likha ho jaisay azmaish ki sihai main kalam dabo kar
hai shaista, shagufta, shokh per bhi kitna sada andaz-e-bayan hai
Haseena, Bapsi, Parveen, Qudsia ki tehreer ka sani kon yahan hai

Itni azeem hai tu, kay kerdia tera ahteraam khuda nay bhi lazim
phir kion rond raha hai teray wajood ko apnay gharoor talay zalim
Tu yeh khud say bhi nahi poochti, kion kerdia tujhay itna majboor
Khawab toh dekhti hogi – dard tujhay bhi hota hoga zaroor

Kion ghar main hai band bhen, kion school nahi jaati
Bhai kay school ka khana toh tu hai roz pakati
Teray chehray pay yeh zakhm Maa, tujhay kis nay hain diye
Kia is baar bhi wohi waja kay tunay kion na betay paida kiye

Toh mujhay mauf kerday aey aurat, main bahut badnaseeb hon
Teri hifazat kia, tujhay izzat bhi nahi de sakta, main itna ghareeb hon
Gar waqai main hota mard, toh meri ghairat mujhay zulm say rok deti
Yaad rehta mujhay kay Mukhtara hai meri Maa aur Malala meri Beti

No comments:

Post a Comment

Your Feedback is requested! Be Critical, its encouraging and educating!