A poetry on the impotence of the Government and the ignorance of all those Pakistanis not willing to take part in the Protest actively on the streets. Recited on Day 2 of the Dharna against Shia/Hazara Genocide.
Meray Leader: (Full Version)
Kia yeh hai tera laho? Ya yeh hai mera laho?
Galiyon main jo ajj beh raha, hai yeh kis ka laho?
Har simt ek cheekho pukaar hai, har gali main bo-qaate ka shor
Kay qaatilon kay haath lag gayi apni zindagi ki dor
Woh jo raat gaye se tak rahi hai raasta apnay chiragh ka
Dar kay bethi hai kay kuch pata nahi halaat ka
Himmat hai toh meray Leader ja kay us maa ko bata
Booriyon say tapak raha hai us kay laal ka laho
Khabie tasveer dekh ker woh hasti hai khabie roti hai
Maa! Baba kab ayen gey subah tak poochti rehti hai
Toh Us kam sin ko yeh kaisay samjhaye ga meray leader
Kay toh Khamosh tha jab zaya hoa us kay baap ka laho
Us Bhuray kay Kaandhay ajj, janaza utha utha kar thak gaye
Jo reh gaye hain zindagi kay chand saal, woh matam kay liye bach gaye
Woh pagal teri galiyon main mara mara phir raha hai meray Leader
Kahin dhoondh na le teri aasteen pay woh apni ulaad ka laho
Abhi kuch hi dino ki baat hai, hum ek general ko bhaga rahay thay
tumharay waadon par takia kar, jhamoriat kay geet ga rahay thay
Hum kam zarfon ko kahan tha itna hosh itni khaber
kay jhamoriat main mehenga hota hai sirf sahib-e-iqtedaar ka laho
Tum bus Committeeyan bana rahay thay, woh lashain gira rahay thay
Tum mushawrat aur mufahmat kay naam pay bahanay bana rahay thay
yeh sirf ghaflat hai teri ya asal majra kuch aur hai
yahan fironiyat bhi jhamori hai, yeh bara jadeed dur hai
Woh Karachi, Quetta, Gilgit main intezaar kertay reh gaye
Socha kay meray Leader kay tum bus ab madad ko aa rahay ho
Muaf kerna woh badnaseeb bawaquf bhool gaye
kay tum vote lay ker 5 saal kay liye araam farma rahay ho
Tum toh Leader bannay kay liye ajab tamashay bhi lagatay ho
ek dojay kay firqon ko gali de ker nafrat ki aag bharkatay ho
Ajeeb tassub main jee raha hai mera Awami Numainda
Awam ko awam say lar waha raha hai khud mera Awami Numainda
Taliban, Sippa-e-Sahaba, Lashkar-e-Jhangvi aur Taiba
Haye, meray Leader tum kis kis say laro gey?
Tum toh aam say admi ho, hum tumhay yun hi dalair samajh bethay
Yeh awaam kon si sagi hai jo is kay liye maro gey
Yahan fauj bhi majboor hai, kay abhi upar say order nahi ayen hain
Toh phir General tu hi bata kia sach yeh afwaayain hain
Kay in Saapoloon ko tunay toh hi nahi paal rakha
Shayad isi liye pila raha hai tu inhay awaam ka laho
zulm-o-jabr aur haiwaniyat ka ajeeb mahool bana dia
tum bhi kam yazeed nahi, roshni kay shehar ko qarbala bana dia
jab inhay mehangai, berozgari aur bemari na maar saki
tum nay un kay ghar main ghus kay khud unhay maar dia
Tumhay sadarat mubarak ho, tumhay wazarat mubarak ho
Hakumti mehloon main rehnay walon, tumhay tamgha-e-jisarat mubarak ho
Bus ab hum per itna reham karo, hum per itna karam karo
In janazon per apnay jhanday na lehrao, bus ab thori toh sharam karo
Hum awam khud bhi kuch kar saktay thay, magar andar say bahut dartay hain
shayad isi liye haq ki larai, sirf facebook aur twitter pay lartay hain
jesay humnay bhi apnay zameer ko ek lambi neend sula dia hai
Muharram ajj bhi hai mutabbir, mager Ahl-e-Bayt ka sabak bhula dia hai
Kia Ibn-e-Ali, Ibn-e-Hussain ki shahadat ka yeh nahi mafhoom
Kay jo haq ki rah main na beh sakay to beqaar hai laho
Tu ajj meray Leader hum bhi kuch kuch tum say ho gaye hain
Matlabi, nasal parast, firqon main bat gaye hain
yun hi khama khua nahi khulatay apna yeh laho
Poochtay hain pehlay kay baha Shia, Sunni ya Ahmadi ka laho
Hamaray liye yahi ghum kaafi kion nahi raha
Kay qaatilon nay giraya akhir meri maa, Pakistan, tera lahoo
kia yeh hai tera laho, ya yeh hai mera laho?
galiyon main jo ajj beh raha, hai yeh kis ka laho?